Door jakar bhi hum door jaa na.......
Door jakar bhi hum door jaa na sakenge,Kitna royenge hum bata na sakenge,
Gham iska nahi ki aap mil na sakoge,
Dard is baat ka hoga ki hum aapko bhula na sakenge.
Ankhe ro padhi unka na paigam.......
Ankhe ro padhi unka na paigam aaya,Chale gaye humein akela chhod ke ye kesa mukam aaya,
Meri tanhai Hansi mujhpe
Aur boli Bata
Aakhir mere siva tere kon kaam aaya.
Wafa Ka Dariyaa Kabhie Rukta.......
Wafa Ka Dariyaa Kabhie Rukta NahinIshq Mein Premi Kabhi Jhukta Nahin
Khamosh Hain Hum Kisi Ke Khushi Ke Liye
Na Socho Ke Hamara Dil Dukhta Nahin!
Aesa Jagaya Aapne Ke Ab Tak Na.......
Aesa Jagaya Aapne Ke Ab Tak Na So SakeYun Rulaya Aapne Ke Mehfil Mein Hum Ro Na Sake
Na Jaane Kya Baat Hai Aap Mein Sanam
Mana Hai Jabse Tumhe Apna Kisi Ke Hum Ho Na Sake.
Koi Juda ho gaya koi kafa ho.......
Koi Juda ho gaya koi kafa ho gayaYeh Dunya ke Logon ko kia ho gaya
jis sajda main maine us ko mangna tha rab se
afsos wohi sajda qaza ho gaya.
Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam.......
Dard Hi Sahi Mere Ishq Ka Inaam To AayaKhali Hi Sahi Hathon Mein Jam To Aaya
Mein Hoon Bewafa Sabko Betaya Usne
Yun Hi Sahi, Uske Labhon Pe Mera Naam To Aaya.
Dua maangi thi aashiyane.......
Dua maangi thi aashiyane ki,Chal pari aandhiyan zamane ki,
Mera dard koi bhi na Samajh paya,
Kyun k meri aadat thi “muskurane ki.
Tujhe Mohabbat Karni Nahi.......
Tujhe Mohabbat Karni Nahi AtaMujhe Mohabbat ke sive Kuch Nahi Ata
Zindagi guzarne ke Do hi raste hain Ghalib
Aik Tujhe Nahi aata aik mujhe nahi aata.
Seene Se Lagane Ki Ijazat.......
Seene Se Lagane Ki Ijazat DedoBikhri Zulfen Suljhane Ki Ijazat Dedo
Tere Chehre Ko Dekhon OR Choom Loun
Bus Ek Baar Nazar Uthane Ki Ijazat Dedo
Bohat Din Hue Humko Roye Hue
Galay Se Laga Lo
Ab To Aanso Bahane Ki Ijazt Dedo.
Ek jazba khak hua dil ki gehrayion.......
Ek jazba khak hua dil ki gehrayion me kahinta’ajjub hai maut par uski koi roya tak nahin,
sahil se to chale the sath me hamsafar banker
sagar ne duboya hum hi ko unhe to bhigoya tak nahin,
ankhon me zinda khuwab thay ya khuwab me zinda ankhen,
tutne k bad hi jana ki unhone to sanjoya tak nahin,
nadani me jinki khatir sab lutane nikle the hum
dekho humare na rehne per bhi unka kuch khoya tak nahin.
Ek nazar Bhi dekhna gawara.......
Ek nazar Bhi dekhna gawara nahi usey,Zara Bhi Ehsaas hamara nahi usey..
Wo sahiL se dekhta raha doobney ka manzar,
Hum Bhi khuddar the k pukara nahi usey.
No comments:
Post a Comment